khul gaya KHalwat-e-tanhai ka qissa ai hai

khul gaya khalwat-e-tanhai ka qissa ai hai
chal gaya shahr mein afwah ka sikka ai hai

qumri-o-tuti-o-bulbul hain jise dekh ke mast
us gul-andam ko tum ne nahin dekha ai hai

kya kahen kaisa laga chand hamein us ke baghair
dub kar jab gham-e-hijran mein wo nikla ai hai

us ke fiqre se main kya samjhun koi samjha de
dafatan meri taraf dekh ke bola ai hai

al-gharaz qissa-e-do-lafz ye sun le ai dost
kucha-e-yar ba-sad ranj na chhuta ai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close