khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa

khuli jab aankh to dekha ki tha bazar ka halqa
khuda malum kab tuta mere pindar ka halqa

tulu-e-sham bhi mujh ko nawed-e-subh-e-farda hai
kahin chamke hilal-e-abru-e-kham-dar ka halqa

mera khun-e-tamanna hai hina-band-e-kaf-e-qatil
junun-e-shauq kaam aaya faraaz-e-dar ka halqa

dil but aashna kuchh is tarah su-e-haram aaya
barahman jaise nikle tod kar zunnar ka halqa

talab ki rah mein pa-e-ana se barha uljha
kabhi inkar ka halqa kabhi iqrar ka halqa

ye ku-e-gham badal jae na ab dasht-e-tamanna se
junun-angez hai zindan ki har diwar ka halqa

har ek mahfil mein jaana har kisi se baat kar lena
gawara kar nahin sakta mere mear ka halqa

lahu qadmon se yun phuta ki zanjiren lahak utthin
munawwar ho gaya zindan-e-tang-o-tar ka halqa

gham-e-imroz ne paiman kiya hai ishq-e-farda se
kabhi to hoga shana-gir zulf-e-yar ka halqa

koi aasan na tha lekin bahut mushkil na tha 'tarzi'
meri zarb-e-nafas se khul gaya asrar ka halqa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close