khurshid ki beti ki jo dhupon mein pali hai tahzib ki diwar ke sae mein khadi hai dhundla gae ranjish mein us aawaz ke shishe barson jo samaat se ham-aghosh rahi hai ab tak hai wahi silsila-e-khana-kharabi ai ishq-e-sitam-pesha teri umr badi hai hum aaen to ghairon ki tarah bazm mein baithen ai sahab-e-khana teri ye shart kadi hai daswaya hai phunkarte sanpon se badan ko tab ja ke ye ek daulat-e-fan hath lagi hai naqqad ke hathon mein hain tanqid ke teshe sahmi hui takhliq kitabon mein padi hai