KHusha ye zarf ki honTon pe hai tabassum bhi

khusha ye zarf ki honton pe hai tabassum bhi
liye hue hain tah-e-chashm sail-e-qulzum bhi

ye inqalab-e-mohabbat ye ijtinab tera
hai nagawar nigahon ka ek tasadum bhi

usi chaman mein hain aise hazar-ha ghunche
nasib ho na saka jin ko ek tabassum bhi

ye kya zarur ki us ne kiya ho yaad magar
kabhi kabhi to maza de gaya tawahhum bhi

hai tarjuman-e-gham-e-dil khamoshi-e-paiham
suna raha hun unhen haal-e-be-takallum bhi

shanawari pe jinhen naz tha wo dub gae
mere liye to sahaara bana talatum bhi

suna rahe ho kise dastan-e-gham aakhir
'nasir' dub gae ab to mah-o-anjum bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close