khushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun magar han dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mahsus karta hun mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se nirali hai alam koi nahin lekin alam mahsus karta hun meri nazron mein ab baqi nahin hai zauq-e-kufr-o-din main ek markaz pe ab dair-o-haram mahsus karta hun jo lutf-e-zindagani mil raha tha ghatta jata hai khalish jo dil mein rahti thi wo kam mahsus karta hun tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betabi kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mahsus karta hun kabhi pata hun dil mein ek hashr-e-dard-e-betabi kabhi main apne dil mein dard-o-gham mahsus karta hun zaban par meri shikwa aa nahin sakta zamane ka ki har aalam ko main un ka karam mahsus karta hun ye dil mein hai jo ghabrahat ye aankhon mein hai jo aansu is ehsan ko bhi baala-e-karam mahsus karta hun khushi ki mujh ko ab bahzad kuchh hajat nahin baqi ki gham ko bhi main ab un ka karam mahsus karta hun