KHushiyan mat de mujhko dard-o-kaif ki daulat de sain

khushiyan mat de mujh ko dard-o-kaif ki daulat de sain
mujh ko mere dil ke ek ek zakhm ki ujrat de sain

meri ana ki shah-e-rag par khud meri ana ka khanjar hai
mere lahu ke har qatre ko phir se hiddat de sain

ism-e-zat ka raaz hai jo khud mere upar fash to kar
mere dil ke aaine ko phir se hairat de sain

tod de wo diwar-e-nafas jo beach mein mere hail hai
mujh ko mujh se milne ki ek bar jo mohlat de sain

main bhi to mitti hun wo bhi tere chaak ki mitti hun
apne chaak ki mitti ko achchhi si surat de sain

duniya ka ye jah-o-hasham ye mansab ye jagir hai kya
daulat kaisi mujh ko mera kasa-e-usrat de sain

mere is lahje ko bhi ab ek naya aahang to de
mere sare alfaz-o-afkar ko nudrat de sain

kar-e-jahan ke mansab se tu 'shahid' ko mazul bhi kar
kaam use jo kuchh bhi de wo hasb-e-zarurat de sain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close