khwab aankhon mein nahin dil mein tamanna bhi nahin ishq mayus hua ho magar aisa bhi nahin un ki ulfat mein uthae hain hazaron ilzam aaj tak aankh utha kar jinhen dekha bhi nahin rah-e-hasti mein nigahen to bhatak sakti hain dil bhatak jae magar itna andhera bhi nahin badh ke aae the kai gham pae taskin lekin gham-e-dauran ke muqabil koi thahra bhi nahin sharam ai baada-gusaron ki bhari mahfil mein badh ke khud jam utha le koi aisa bhi nahin kya tamasha hai ki aae hain tasalli dene wo jinhen dard-shanasi ka saliqa bhi nahin har nazar sath-e-tabassum pe thahar jati hai kya zamane mein koi gham ka shanasa bhi nahin lakh nazuk sahi ummid ka rishta lekin dil ko ehsas ki tauhin gawara bhi nahin zindagi ko nae khwabon se saja kar lao ye tabassum to mere gham ka mudawa bhi nahin hadse ho chuke 'arshad' gham-e-ulfat ke tamam ab to shayad dil-e-mayus tadapta bhi nahin