kis ke chamke chand se ruKHsar qiasar-bagh mein

kis ke chamke chand se rukhsar qiasar-bagh mein
chandni hai saya-e-diwar qiasar-bagh mein

fil-haqiqat ye bhi kam gulzar-e-jannat se nahin
huren phirti hain sar-e-bazar qiasar-bagh mein

panw ka yan zikr kaisa saf hai aisi zamin
dil phisalte hain dam-e-raftar qiasar-bagh mein

zer-e-shakh-e-gul agar sabza kabhi sone laga
shor-e-bulbul ne kiya bedar qiasar-bagh mein

itne patte bhi na honge gulshan-e-firdaus mein
jis qadar phulon ke hain ambar qiasar-bagh mein

tishnigan-e-shauq hain shirin-labon ke mehman
bat raha hai sharbat-e-didar qiasar-bagh mein

qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhate hain bahaar
gundh rahe hain motiyon ke haar qiasar-bagh mein

saya-e-baal-e-huma kya dhundhta hai ai 'amir'
baith zer-e-saya-e-diwar qiasar-bagh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close