kis ki us tak rasai hoti hai

kis ki us tak rasai hoti hai
han magar jis ki aai hoti hai

yar hum se siyah-bakhton ki
zulf tak kab rasai hoti hai

khub mil kar gale se ro lena
is se dil ki safai hoti hai

dubti hai hamari kashti-e-dil
aap se aashnai hoti hai

shor hai al-firaq ka har dam
hum se un se judai hoti hai

lashkar-e-gham ki kishwar-e-dil par
raat din ab chadhai hoti hai

un ki mahfil mein jate darta hun
wan lagai-bujhai hoti hai

us ke dar par 'haqir' tum bhi chalo
wahin mushkil-kushai hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close