kis qadar mujh ko na-tawani hai bar-e-sar se bhi sargirani hai chashm-e-tar se jo khun-fishani hai nawak-e-ishq ki nishani hai sare quran se us pari-ru ko yaad ek lafz-e-lan-tarani hai jab hua rutba-e-fana fillah gham nahin gar jahan-e-fani hai hai har ek sher yar ki taswir fikr apni khayal-e-mani hai kyun na hon aashiq-e-lab-e-jaanan chashma-e-ab-e-zindagani hai us ki raftar ke likhe hain jo wasf kya meri taba mein aati hai naseha aashiqi mein rakh mazur kya karun aalam jawani hai kis se dun us sanam ko main tashbih kab khudai mein us ka sani hai na mere zakhm par rakho marham mere qatil ki ye nishani hai sar kataenge shama san khamosh gar yahi apni be-zabani hai hum nahin shama hon jo ashk-fishan kar-e-ushshaq jaan-fishani hai munh ne ghar mein mere rakkha us ko ye bhi taid-e-asmani hai dil bhi us se utha nahin sakte na-tawani si na-tawani hai qad-e-mauzun ke ishq mein 'goya' raat din shughl-e-sher-khwani hai