kise apna banaen koi is qabil nahin milta

kise apna banaen koi is qabil nahin milta
yahan patthar bahut milte hain lekin dil nahin milta

mohabbat ka sila isar ka hasil nahin milta
wo nazren bar-ha milti hain lekin dil nahin milta

tumhaara ruthna tamhid thi afsana-e-gham ki
zamana ho gaya hum se mizaj-e-dil nahin milta

jahan tak dekhta hun main jahan tak main ne samjha hai
koi tere siwa tarif ke qabil nahin milta

haram ki manzilen hon ya sanam-khane ki rahen hon
khuda milta nahin jab tak maqam-e-dil nahin milta

musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain
wo maujen sar patakti hain jinhen sahil nahin milta

hum apna gham liye baithe hain us bazm-e-tarab mein bhi
kisi naghme se ab 'makhmur' saz-e-dil nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close