kisi but ke shikam se gar koi aazar nikal aae

kisi but ke shikam se gar koi aazar nikal aae
khirad ka band tute aur ek patthar nikal aae

taqaze jab badan ke ruh mein dhal kar nikal aae
qaba ke band tute aur hasin bistar nikal aae

zamana na-shanasi ka murawwat be-khayali ki
na jaane kis gali kis mod par khanjar nikal aae

uge hain khwab-zaron mein manazir sar-tarashi ke
suhani wadiyon mein bawle lashkar nikal aae

thakan ka bojh le kar koi kitni dur chalta hai
magar jab rah mein ek mil ka patthar nikal aae

chhupa kar jin charaghon ko nihan-khane mein rakkha tha
fasil-e-jaan pe jalne ke liye kyun kar nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close