kisi ka dil ko raha intizar sari raat falak ko dekha kiye bar bar sari raat tadap tadap ke tamanna mein karwaten badlin na paya dil ne hamare qarar sari raat idhar to shama thi giryan udhar the hum giryan isi tarah pe rahe ashk-bar sari raat khayal-e-sham-rukh-e-yar mein jale ta-subh liya qarar na parwana-war sari raat na puchh soz-e-judai ko hum se ai hamdam jala kiya ye dil-e-daghdar sari raat mizha ke ishq se aai na nind aankhon mein nazar khatakti rahi ban ke khar sari raat khayal-e-zulf-e-siyah mein baha kiye aansu bandha raha mere rone ka tar sari raat na puchh hum se 'asar' raat kis tarah kati ajab tarah ka raha intishaar sari raat