kisi ke wada-e-farda mein gum hai intizar ab bhi

kisi ke wada-e-farda mein gum hai intizar ab bhi
khuda jaane hai kyun ek be-wafa par eatibar ab bhi

kabhi ki thi tamanna lala-o-gul ki nigahon ne
rulati hai lahu ke rang mein fasl-e-bahaar ab bhi

tere qaul-o-amal mein farq milta hai mujhe zahid
zaban par lafz-e-tauba hai nigah mein hai khumar ab bhi

khizan ke baad is ummid par gulshan nahin chhoda
ye mumkin hai ki chal jae hawa-e-khush-gawar ab bhi

hamare dil ko jis ne shams' virani inayat ki
usi ko yaad karti hai nigah-e-be-qarar ab bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close