kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai

kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai
ras-bhari narm si lai jo teri aawaz mein hai

gosh mushtaq ki khud-sakhta tafriq hai ye
warna jo saz hai bahar hai wahi saz mein hai

le na dube kahin khush-fahmi-e-idrak tujhe
na-khudai teri poshida isi raaz mein hai

aap hi zinda karen murda tamannaon ko
qum-be-izni ka asar aap ki aawaz mein hai

ham-safiron ki sadaon ka asar hai shayad
har giraftar-e-qafas koshish-e-parwaz mein hai

kyun karen ghair se hum arz niyaz-e-ulfat
jis ke talib hain abhi jalwa-gah-e-naz mein hai

'arsh' tak dekhiye pahunche ki na pahunche koi
aah ke sath dua bhi meri parwaz mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close