kisi se raaz-e-mohabbat na aashkar kiya teri nazar ke badalne tak intizar kiya na koi wada tha un se na koi pabandi tamam umr magar un ka intizar kiya thahar ke mujh pe hi ahl-e-chaman ki nazron ne mere junun se andaz-e-bahaar kiya sahar ke dubte taro gawah rahna tum ki main ne aakhiri sanson tak intizar kiya jahan se teri tawajjoh hui fasane par wahin se dubti nabzon ne ikhtisar kiya yahi nahin ki hamin intizar karte rahe kabhi kabhi to unhon ne bhi intizar kiya