kisi surat to dil ko shad karna

kisi surat to dil ko shad karna
hamein dushman samajh kar yaad karna

duaen denge chhut kar qaidi-e-zulf
jahan tak ho sake aazad karna

kahin wo aafrin aisa pade hath
na mujh par rahm o jallad karna

masihai dikhana baad-e-murdan
jo dil chahe to kuchh irshad karna

uda do khak meri thokaron se
agar manzur hai barbaad karna

adab sikhe nahin hun nau-giraftar
bata kar qaede bedad karna

maza tha bebasi ki galiyon mein
isi bhule sabaq ko yaad karna

bahut mushkil hai in sangin-dilon se
khayal-e-khatir-e-nashad karna

janaza uth chuke mera to tum bhi
ada rasm-e-mubarak-baad karna

'nasim'-e-khasta-dil ne jaan de di
ghazab laya tera bedad karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close