kitne hi tir KHam-e-dast-o-kaman mein honge

kitne hi tir kham-e-dast-o-kaman mein honge
jin ke sofar abhi se meri jaan mein honge

dil hai ab khana-e-aseb-zada ki surat
zakhm rauzan isi tarik makan mein honge

ek hum hi nahin sar mein liye sauda-e-wafa
aur bhi kitne mohabbat ke guman mein honge

sirf tere lab-o-rukh ki nahin taswir-e-chaman
mere bhi gham ke kai rang khizan mein honge

ladkhadata hua aaya hai mizha tak aansu
raste kaise dil-e-dard-nishan mein honge

bar-mahal hai tah-e-ashjar hawa ka nauha
kal ke ghunche bhi isi dasht-e-ziyan mein honge

hai khad-o-khal ka ambar yahan har chehra
hum wo honge jo na khud apne guman mein honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close