koi bhi shai kahan nayab hai hamare liye

koi bhi shai kahan nayab hai hamare liye
khula hua to dar-e-khwab hai hamare liye

hamein hi raushni us ki nazar nahin aati
charagh to pas-e-mehrab hai hamare liye

palak jhapakte hi sab kuchh naya sa lagta hai
ye zindagi bhi koi khwab hai hamare liye

utarte jate hain pahnaiyon mein dariya ki
ki jalti shama tah-e-ab hai hamare liye

hamin ne band kiye hain tamam darwaze
ye shahr aaj bhi betab hai hamare liye

bas ek mauj ne ye haal kar diya apna
har ek mauj hi girdab hai hamare liye

har ek shakhs ke dawe alag alag 'alam'
agarche baam pe mahtab hai hamare liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close