koi bhi shakhs jo wahm-o-guman ki zad mein raha wo ta-hayat azab-e-qubul-o-rad mein raha khuda ki zat mein zam ho gaya jahan darwesh wahan na farq koi kare-nek-o-bad mein raha wo mohtaram hai jo taskhir-e-zat ki khatir tamam umr lada aur apni had mein raha mere hi dam se kahani mein manawiyyat thi mera shumar magar harf-e-mustarad mein raha wo har lihaz se na-mo'tabar ikai tha magar waqar se maujud har adad mein raha ajal ne zist ke sab masale samet liye bade sukun se wo gosha-e-lahad mein raha wo main nahin tha koi aur shakhs tha ai 'soz' jo mera jism liye mere khal-o-khad mein raha