koi bhi shakl mere dil mein utar sakti hai ek rifaqat mein kahan umr guzar sakti hai tujh se kuchh aur talluq bhi zaruri hai mera ye mohabbat to kisi waqt bhi mar sakti hai meri khwahish hai ki phulon se tujhe fath karun warna ye kaam to talwar bhi kar sakti hai ho agar mauj mein hum jaisa koi andha faqir ek sikke se bhi taqdir sanwar sakti hai subh-dam surkh ujala hai khule pani mein chand ki lash kahin se bhi ubhar sakti hai