koi darpesh jab safar aaya tera chehra bhi baam par aaya lag ke chilman se jhankna bahar yaad wo adh-khula sa dar aaya mere sayyaad ko bhi hairat hai kyun na main bhi lahu mein tar aaya dekh sare jahan ko thukra kar tera diwana tere ghar aaya tere dar se shifa mile sab ko ek 'umar' hi shikasta-tar aaya