koi dil mein sama gaya hua tha zindagi se main aashna hua tha us ka band-e-qaba khula hua tha ya koi aks aaina hua tha baat karne ko lafz the hi nahin aankhon aankhon mein faisla hua tha koi aaya tha mere ghar mein aur sara aangan khula khula hua tha kis ki khatir ujad raste par phul le kar shajar khada hua tha chandni jhil mein utarte dekh ped sakte mein aa gaya hua tha