koi din hoga ki haare hue laut aaenge hum teri galiyon se gae bhi to kahan jaenge hum aansuon ka to takalluf hi kiya aankhon ne khun ke ghunt se kya shauq na farmaenge hum zindagi pahle hi jine ki tarah kab ji hai ab tere nam pe marne ki saza paenge hum kab tak ai ahd-e-karam bandhne wale kab tak dil ko samjhaenge bahlaenge phuslange hum aah se arsh-e-mualla ko na larza denge tu samajhta hai qayamat hi faqat dhaenge hum lakh murtad sahi be-din nahin hain waiz but nae hain to khuda kya na naya laenge hum jawedani ka tasawwur mein bhi aaya na khayal hum samajhte the tere ishq mein mar jaenge hum bas ab ai dil ki qasam khai hai us zalim ne jo tadapta hai use aur bhi tadpaenge hum dur tujh se to qaza bhi nahin le jaegi sar bhi aakhir teri diwar se takraenge hum bhulta hi nahin hum ko wo sitamgar 'rahil' khak use yaad na karne ki qasam khaenge hum