koi gulab kabhi us ka dil dukhaya tha

koi gulab kabhi us ka dil dukhaya tha
so regzar pe bhi wahshaton ka saya tha

utar ke shakh se ek ek zard patte ne
nai ruton ke liye rasta banaya tha

wo shakh-e-saya-e-ikhlas kat gai ek roz
tapish se jis ne mujhe umr bhar bachaya tha

shajar shajar ko nishana banane walo tumhein
khayal bhi na kisi ghonsle ka aaya tha

kisi khayal kisi khwab ke liye 'khurshid'
diya dariche mein rakkha tha dil jalaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close