koi khadsha hai na tufan bala kuchh bhi nahin ab na ghamza hai na andaz-o-ada kuchh bhi nahin ishq kahte hain kise husn hai kya kuchh bhi nahin meri aankhen teri surat ke siwa kuchh bhi nahin kab se viran padi hai mere dil ki duniya koi naghma kisi pael ki sada kuchh bhi nahin zahr se kam nahin ye saghar-e-mai mere liye tu nahin hai to ye mausam ye faza kuchh bhi nahin tere chehre pe qayamat hai haya ki surkhi rang-e-gul rang-e-shafaq rang-e-hina kuchh bhi nahin