koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai ghubar-e-qais khud uthta hai khud barbaad hota hai qafas kya halqa-ha-e-dam kya ranj-e-asiri kya chaman par mit gaya jo har tarah aazad hota hai ye sab na-ashna-e-lazzat-e-parwaz hain shayad asiron mein abhi tak shikwa-e-sayyaad hota hai bahaar-e-sabza-o-gul hai karam hota hai saqi ka jawan hoti hai duniya mai-kada aabaad hota hai bana leta hai mauj-e-khun-e-dil se ek chaman apna wo paband-e-qafas jo fitratan aazad hota hai bahaar anjam samjhun is chaman ka ya khizan samjhun zaban-e-barg-e-gul se mujh ko kya irshad hota hai azal mein ek tajalli se hui thi be-khudi tari tumhin ko main ne dekha tha kuchh aisa yaad hota hai samae ja rahe hain ab wo jalwe dida o dil mein ye nazzara hai ya zauq-e-nazar barbaad hota hai zamana hai ki khugar ho raha hai shor o shewan ka yahan wo dard jo be-nala-o-fariyaad hota hai yahan kotahi-e-zauq-e-amal hai khud giraftari jahan bazu simatte hain wahin sayyaad hota hai yahan maston ke sar ilzam-e-hasti hi nahin 'asghar' phir is ke baad har ilzam be-buniyaad hota hai