koi meayar-e-mohabbat na raha mere baad

koi meayar-e-mohabbat na raha mere baad
har taraf aam hain khasan-e-wafa mere baad

silsila un ke sitam ka na raha mere baad
badla badla sa hai dastur-e-jafa mere baad

kaun pahnega gale mein teri ulfat ki kamand
kis ke sar hogi teri zulf-e-dota mere baad

hongi qurban tere rukh pe nigahen kis ki
chand ho jaega haale se juda mere baad

sochta hun ki ba-in aalam-e-betabi-e-dil
kaun mangega mohabbat ki dua mere baad

dad chahenge meri tarah mita kar kis ko
ishwa-o-ghamza-e-andaz-o-ada mere baad

thokaren khati phiregi shab-e-yalda-e-firaq
khun roegi har ek taza bala mere baad

suni suni si hai har mahfil-e-iza-e-talabi
jaise duniya mein koi gham na raha mere baad

khira ho jati thi jis se nigah-e-sabr-o-qarar
un ke lab par wo tabassum na raha mere baad

kya khabar thi ki main khud sath na dunga apna
gosht ho jaega nakhun se juda mere baad

fitrat-e-husn ko hai aise sitam-kash ki talash
jo wafa par bhi kare uzr-e-khata mere baad

zard kar dega use meri tabahi ka khayal
rang laya bhi agar rang-e-hina mere baad

un ka diwana to kahlana hai mushkil 'basit'
koi diwana agar ban bhi gaya mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close