koi qarib na aae shikasta-pa hun main karam to hai magar anjam dekhta hun main meri nigah mein kuchh aur dhundne wale teri nigah mein kuchh aur dhundta hun main zamana der-faramosh to nahin itna ye thik hai ki bahut der-ashna hun main ghalat nahin wo jo shikwe ab aap ko honge badal gaya hai zamana badal gaya hun main mujhe satao nahin zindagi nigah mein hai fareb khao nahin tum ko jaanta hun main mera ghurur-e-mohabbat ki main nahin samjha teri nazar ne kaha tha ki dilruba hun main