kucha mein jo us shoKH-hasin ke na rahenge

kucha mein jo us shokh-hasin ke na rahenge
to dair-o-haram kya hai kahin ke na rahenge

nazdik kabhi khuld-e-barin ke na rahenge
ham-saya bhi ab hum to hasin ke na rahenge

main said hun wahshi mujhe fitraki kahalwa
do tar bhi ab daman-e-zehn ke na rahenge

par wae wasila ho sulaiman ko mubarak
hum nam ko muhtaj nagin ke na rahenge

mar jaenge izhaar-e-tamanna hi se pahle
sunne ko tere munh se nahin ke na rahenge

mirza munshi apni gora na karenge
sunne ko qisas-e-chin-e-jabin ke na rahenge

sun lenge jo mujh gham-zada ke nala-e-mauzun
mushtaq wo diwan-e-hazin ke na rahenge

darwaza ka parda to rahe kan ka parda
hum ru-ba-ru us parda-nashin ke na rahenge

allah ne chaha to hum ai barhamn-e-dair
mushtaq kisi lobat-e-chin ke na rahenge

rukhsar se tashbih teri denge hum ai jaan
jab dagh rukh-e-mah-e-mubin ke na rahenge

odhte hue ye tair-e-rang apna jo dekha
to hosh baja ruh-e-amin ke na rahenge

kis dard ki aawaz se chillai hai bulbul
hum pas to us murgh-e-hazin ke na rahenge

dekhenge jo us but ko to wallah yaqin hai
iman baja ahl-e-yaqin ke na rahenge

paband rahe kaun yahan nam ki khatir
halqa mein kabhi misl nagin ke na rahenge

hum dhundte phirte hain tujhe dair-o-haram mein
gar hai ye tamanna to kahin ke na rahenge

paband hue shakl-e-asir ab to yahan 'mehr'
aisa hi jo dil hai to kahin ke na rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close