kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai ye tawil tanhai sanp ban ke dasti hai naghma-e-tabassum se lab hain ab bhi na-mahram shakh-e-arzu ab bhi phul ko tarasti hai hum gharib kya jaanen mol zindagani ka hum ko kya pata ye shai mahngi hai ki sasti hai aao hum bhi dekhenge is dayar mein chal kar kaise log rahte hain kis tarah ki basti hai khub-ru tamannaen khush-libas ummiden shahr-e-dil ki basti bhi kya hasin basti hai