kuchh bas na chala jazba-e-KHud-kaam ke aage

kuchh bas na chala jazba-e-khud-kaam ke aage
jhukna hi pada us but-e-badnam ke aage

ek aur bhi hasrat hai pas-e-hasrat-e-didar
ek aur bhi aaghaz hai anjam ke aage

aa aur idhar koi tajalli ki kiran phenk
baithe hain gada tere dar-o-baam ke aage

ye ishq hai bazicha-e-atfal nahin hai
kuchh aur bhi hai kucha-e-asnam ke aage

yun un ki jafaon se mili hum ko basirat
hum jhuk na sake gardish-e-ayyam ke aage

din dhalne laga dil-zadagan dil ki khabar lo
ek silsila-e-hijr bhi hai sham ke aage

ab kuchh bhi nahin hasil-e-tadbir-e-mohabbat
ab kuchh bhi nahin nama-o-paigham ke aage

ek sehr sa tari tha 'zahir' ahl-e-khirad par
the mohr-ba-lab husn-e-dil-aram ke aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close