kuchh bhi na jab dikhai de tab dekhta hun main

kuchh bhi na jab dikhai de tab dekhta hun main
phir bhi ye khauf sa hai ki sab dekhta hun main

aankhen tumhaare hath pe rakh kar main chal diya
ab tum pe munhasir hai ki kab dekhta hun main

aahat aqab se aai aur aage nikal gai
jo pahle dekhna tha wo ab dekhta hun main

ye waqt bhi batata hai aadab-e-waqt bhi
is tutte sitare ko jab dekhta hun main

ab yan se kaun de meri chashm-e-talab ko dad
jis fasle se bab-e-talab dekhta hun main

in putliyon ka qarz chukata hun kya karun
bas dil se dil milata hun jab dekhta hun main

nakaam-e-ishq hun so mera dekhna bhi dekh
kam dekhta hun aur ghazab dekhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close