kuchh ishaare the jinhen duniya samajh baiThe the hum

kuchh ishaare the jinhen duniya samajh baithe the hum
us nigah-e-ashna ko kya samajh baithe the hum

rafta rafta ghair apni hi nazar mein ho gae
wah-ri ghaflat tujhe apna samajh baithe the hum

hosh ki taufiq bhi kab ahl-e-dil ko ho saki
ishq mein apne ko diwana samajh baithe the hum

parda-e-azurdagi mein thi wo jaan-e-iltifat
jis ada ko ranjish-e-beja samajh baithe the hum

kya kahen ulfat mein raaz-e-be-hisi kyunkar khula
har nazar ko teri dard-afza samajh baithe the hum

be-niyazi ko teri paya sarasar soz o dard
tujh ko ek duniya se begana samajh baithe the hum

inqalab-e-pai-ba-pai har gardish o har daur mein
is zamin o aasman ko kya samajh baithe the hum

bhul baithi wo nigah-e-naz ahd-e-dosti
us ko bhi apni tabiat ka samajh baithe the hum

saf alag hum ko junun-e-ashiqi ne kar diya
khud ko tere dard ka parda samajh baithe the hum

kan bajte hain mohabbat ke sukut-e-naz ko
dastan ka khatm ho jaana samajh baithe the hum

baaton baaton mein payam-e-marg bhi aa hi gaya
un nigahon ko hayat-afza samajh baithe the hum

ab nahin tab-e-sipas-e-husn is dil ko jise
be-qrar-e-shikwa-e-beja samajh baithe the hum

ek duniya dard ki taswir nikli ishq ko
koh-kan aur qais ka qissa samajh baithe the hum

rafta rafta ishq manus-e-jahan hota chala
khud ko tere hijr mein tanha samajh baithe the hum

husn ko ek husn hi samjhe nahin aur ai 'firaq'
mehrban na-mehrban kya kya samajh baithe the hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close