kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka

kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka
shama ne lut liya soz bhi parwane ka

zabt-e-fariyaad ki be-sud tawaqqo dil se
zarf kyun dekhiye tute hue paimane ka

mera mitna nahin aasan mohabbat ki qasam
maut hai nam tere dil se utar jaane ka

hashr tak roegi duniya-e-mohabbat mujh ko
silsila khatm na hoga mere afsane ka

maut ki nind se insan ko jaga deti hai
jis haqiqat mein zara rang ho afsane ka

is tarah mujh se mukhatab hai zamana jaise
hosh ki fikr bhi ek farz ho diwane ka

un ke andaz-e-sitam ka hai taqaza 'basit'
ahd kar lijiye mar mar ke jiye jaane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close