kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi

kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi
teri ulfat mein aziyyat hi sahi

dard ko dard na jab tu samjhe
bad-gumani teri aadat hi sahi

dil-e-mahjur mein arman-e-visal
na sahi did ki hasrat hi sahi

but-kada chhodne wale to na the
khair milti hai to jannat hi sahi

dil ko tha khak mein milna so mila
dekhne walon ko ibrat hi sahi

is sitamgar ne kar li tauba
ai falak han koi aafat hi sahi

koi jalwa nazar aae shayad
tiktiki bandhne ki aadat hi sahi

hain kisi jalwe ki aankhen mushtaq
kuchh kam-o-besh ye ghaflat hi sahi

ishq ki bolti taswir hai 'shauq'
dekhne walon ko hairat hi sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close