kya is ka gila kije use pyar hi kab tha wo ahd-e-faramosh wafadar hi kab tha us ne to sada puje hain udte hue jugnu wo chand-sitaron ka parastar hi kab tha hum dub gae jagti raaton ke bhanwar mein hath us ka hamare liye patwar hi kab tha aamon ki hasin rut ke siwa bhi to wo kuke lekin kisi koyal ka ye kirdar hi kab tha aawaz jo main dun to kisi aur ko chhu le is aankh-micholi se wo bezar hi kab tha tum us ko bure nam se yaro na pukaro ye nam use bais-e-azar hi kab tha mashhur-e-zamana hain 'qatil' us ki udanen wo dam-e-mohabbat mein giraftar hi kab tha