kya kare meri masihai bhi karne wala

kya kare meri masihai bhi karne wala
zakhm hi ye mujhe lagta nahin bharne wala

zindagi se kisi samjhaute ke ba-wasf ab tak
yaad aata hai koi marne marne wala

us ko bhi hum tere kuche mein guzar aae hain
zindagi mein wo jo lamha tha sanwarne wala

us ka andaz-e-sukhan sab se juda tha shayad
baat lagti hui lahja wo mukarne wala

sham hone ko hai aur aankh mein ek khwab nahin
koi is ghar mein nahin raushni karne wala

dastaras mein hain anasir ke irade kis ke
so bikhar ke hi raha koi bikharne wala

isi ummid pe har sham bujhae hain charagh
ek tara hai sar-e-baam ubharne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close