kya khabar kab se pyasa tha sahra sare dariya ko pi gaya sahra log pagdandiyon mein khoe rahe mujh ko rasta dikha gaya sahra dhup ne kya kiya suluk us se jaise dharti pe bojh tha sahra badhti aati thi mauj dariya ki main ne ghar mein bula liya sahra jaane kis shakhs ka muqaddar hai dhup mein tapta be-sada sahra kho ke apna wajud andhere mein raat kitna udas tha sahra zehn ko wadiyan uthate phiren aankh mein aa ke bas gaya sahra mere qadmon ko chumne ke liye raste raste se ja mila sahra main samundar ko ghar mein le aaya mere dar par pada raha sahra mera is mein bikharna tha 'abid' phir mujhe dhundhta phira sahra