kya waqt paDa hai tere aashufta-saron par

kya waqt pada hai tere aashufta-saron par
ab dasht mein milte nahin milte hain gharon par

pahchan lo is khak-e-rah-e-hirs-o-hawas ko
qadmon se ye uthti hai to girti hai saron par

khud apne hi andar se ubharta hai wo mausam
jo rang bichha deta hai titli ke paron par

saughat samajhte the jise dasht-e-wafa ki
wo khak bhi sajti nahin ab apne saron par

ubhra na tera husn-e-khad-o-khal abhi tak
taswir teri qarz hai taswir-garon par

kante bhi chune rah ke patthar bhi hatae
manzil na hui sahl magar ham-safaron par

phir pakke makanon ke makin khanda-ba-lab hain
yalghaar hai dariyaon ki phir kachche gharon par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close