kyun andheron mein rahen raat basar hone tak

kyun andheron mein rahen raat basar hone tak
khud hi khurshid na ban jaen sahar hone tak

kitna achchha ho ki is bar mariz-e-shab-e-gham
achchha ho jae masiha ko khabar hone tak

kitni hi bar khayalon mein tere pas gae
ham-safar karte rahe waqt-e-safar hone tak

hai ye tashhir-e-mohabbat to kahin baad ki chiz
aap mil sakte hain duniya ko khabar hone tak

dagh-e-dil apni hi sozish se bana hai khurshid
aur kya guzregi qatre pe guhar hone tak

ai dil-e-wada-talab phir koi tajwiz-e-wafa
ek nazar aur bhi taid-e-nazar hone tak

tere sath apne bhi jine ki duaen mangin
ham-safar sath rahe khatm-e-safar hone tak

had bhi hoti hai koi tishna-labi ki 'nuri'
khud hi pi lete hain saqi ki nazar hone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close