kyun aur zaKHm sine pe khao ho dosto

kyun aur zakhm sine pe khao ho dosto
kahe kisi se aas lagao ho dosto

ek aabru bachi hai so rakhiyo sambhaal ke
kis pas kya gharaz liye jao ho dosto

pahunche wahin hain aaj jahan se chale the hum
ab rah kaun aur dikhao ho dosto

is taba se to khud hi pareshan hai ye dil
thes us ko aur kahe lagao ho dosto

jaur-o-jafa-e-yar ke ye uzr wah khub
ye kaisi baat hum ko batao ho dosto

muddat hui ki khatm hua us gali mein sab
ab aur kis ke kuche mein jao ho dosto


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close