kyun na ho dad-talab himmat-e-mardana-e-dil mail-e-husn-e-jahan-soz hai parwana-e-dil ek ibrat ka muraqqa hai alam-khana-e-dil hasrat-o-yas ka afsana hai afsana-e-dil jis ko rahti hai kisi aur ke jalwe ki talash us ne dekha hi nahin jalwa-e-jaanana-e-dil ab main samjha ki mohabbat mein asar hai kitna log sunte hain bade shauq se afsana-e-dil qabil-e-dad hai ye shauq-e-talab ai saqi le ke aaya hun main tuta hua paimana-e-dil ek zamane ko jila deta hai jal kar ai 'arsh' shola-e-barq-e-jahan-soz hai parwana-e-dil