kyun wasl mein bhi aankh milai nahin jati wo farq dilon ka wo judai nahin jati kya dhum bhi nalon se machai nahin jati soti hui taqdir jagai nahin jati kuchh shikwa na karte na bigadta wo shab-e-wasl ab hum se koi baat banai nahin jati dekho to zara khak mein hum milte hain kyunkar ye nichi nigah ab bhi uthai nahin jati kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge manga karo tum maut abhi aai nahin jati wo hum se mukaddar hain to hum un se mukaddar kah dete hain saf apni safai nahin jati hum sulh bhi kar len to chali jati hai un mein baham dil o dilbar ki ladai nahin jati khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge ye rah batane se batai nahin jati chhupti hai 'jalal' aankhon mein kab hasrat-e-didar sau parde agar hon to chhupai nahin jati