lab-e-jaan-bakhsh ke mithe ka tere jo maza paya to chashma zindagi ka apni labrez-e-baqa paya na hoe kyun ba-sad jaan dil mera maftun tera jaanan ki har jalwe mein tere yak karishma main juda paya do-baala kyun na ho nashsha dil-e-hairan ki hairat ka jo tujh ko sab mein aur tere mein sab ko barmala paya teri ek gadish-e-mizgan se yun be-tab-o-taqat hun na kah sakta hun kuchh gar koi puchhe tu ne kya paya na duniya us mein rah pawe na uqba us ko phailawe dil-e-'agah' ke kausar mein jin ne inziwa paya