labon par pyas sab ke be-karan hai har ek jaanib magar andha kuan hai hai koi aks-e-rangin aaine par jab hi to aaine mein kahkashan hai judai ka na qissa wasl ka hai adhuri kis qadar ye dastan hai kisi se koi bhi milta nahin ab har ek insan yahan to bad-guman hai nahin kuchh bolte hain jabr sah kar lage tarshi hui sab ki zaban hai watan mein rah ke bhi hai be-watan ye bahut mazlum ye urdu zaban hai kisi ka dard bante gham mein roe 'zafar' ehsas logon mein kahan hai