labon pe ab koi aah-o-fughan nahin hoti

labon pe ab koi aah-o-fughan nahin hoti
zaban se dil ki kahani bayan nahin hoti

khalish to aaj bhi hoti hai mere sine mein
nashist-e-dard jahan thi wahan nahin hoti

khuda ne chaha to mil jaenge kahin na kahin
bichhad ke khatm yahan dastan nahin hoti

jo khud se milte hain hum be-khudi ke aalam mein
tumhaari yaad talak darmiyan nahin hoti

wo qatl ho ke bhi qatil pe muskuraati hai
ajal se zist kabhi bad-guman nahin hoti

tumhaare chahne wale wahan nahin milte
dilon mein dard ki shiddat jahan nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close