laDakpan mein ye zid hai jaani tumhaari

ladakpan mein ye zid hai jaani tumhaari
abhi dekhni hai jawani tumhaari

kaha main ne thahro to bole ye hans kar
kabhi phir sunenge kahani tumhaari

nisar un ke jaen jo sach jaane us ko
fasana hamara zabani tumhaari

badi khidmaten kin ab aazad kar do
bahut dekh li mehrbani tumhaari

chhupaun na kis tarah se jaan badan mein
meri jaan ye hai nishani tumhaari

bahut saf hain galiyan wah-wa hai
suni barha khush-bayani tumhaari

muqarrar bala aane wali hai koi
nahin be-sabab mehrbani tumhaari

'nasim' ab to ghabra gaya dil hamara
sune kaun pahron kahani tumhaari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close