lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur

lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur
meri jast-e-hunar ko likh de koi samt-e-maani aur

bast-o-kushad-e-bazu kya hai sanson ki halchal ke siwa
chand ghira ho jab maujon mein badhti hai tughyani aur

sehr-e-sawad-e-bahr-o-bar se kitne tufan ubharte hain
ab is shorish-e-ab-o-gil ko mitti aur na pani aur

dasht-e-nawa par chha jaega is ke baad ek lamba sukut
main chautha darwesh hun mujh se sun lo ek kahani aur

main hun ghazal-e-mushk-guzida mera safar hai tir ke sath
jab hoti hai tez ye khushbu badhti jaulani aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close