lahje aur aawaz mein rakkha jata hai

lahje aur aawaz mein rakkha jata hai
ab to zahr alfaz mein rakkha jata hai

mushkil hai ek baat hamare maslak ki
apne aap ko raaz mein rakkha jata hai

ek shoala rakhna hota hai sine mein
ek shoala aawaz mein rakkha jata hai

hum logon ko khwab dikha kar manzil ka
raste ke aaghaz mein rakkha jata hai

yahan to udte udte thak kar girne tak
chidiya ko parwaz mein rakkha jata hai

aakhir-e-shab jo khwab dikhai dete hon
'azhar' un ko raaz mein rakkha jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close